shahr-o-bazar se nikal aae
shahr-o-bāzār se nikal aa.e
ab ḳharīdār se nikal aa.e
aañkh tarsī thī ek muddat se
ashk dīdār se nikal aa.e
is kahānī meñ us ko marnā thā
ham hī kirdār se nikal aa.e
dushmanī dushmanī nahīñ niklī
dost ġhaddār se nikal aa.e
pārsā chhup ga.e salīboñ se
ham gunahgār se nikal aa.e
ab ki suqrāt aur falātūñ sab
merī guftār se nikal aa.e
shahr-o-bazar se nikal aae
ab KHaridar se nikal aae
aankh tarsi thi ek muddat se
ashk didar se nikal aae
is kahani mein us ko marna tha
hum hi kirdar se nikal aae
dushmani dushmani nahin nikli
dost ghaddar se nikal aae
parsa chhup gae salibon se
hum gunahgar se nikal aae
ab ki suqraat aur falatun sab
meri guftar se nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.