shahr to milte hain aabaad kahan milte hain
shahr to milte haiñ ābād kahāñ milte haiñ
log galiyoñ meñ bhī āzād kahāñ milte haiñ
ai mire 'ishq ke ustād ḳhudā baḳhshe tujhe
is hunar ke bhī ab ustād kahāñ milte haiñ
koī shīrīñ kisī bāzār meñ ye kahtī thī
sar kahāñ phaTte haiñ farhād kahāñ milte haiñ
'umr-bhar saath nibhāne kā jo dam bharte haiñ
vo bhī do chaar dinoñ baa'd kahāñ milte haiñ
ham ne nāshād zamāne se mohabbat sīkhī
ab sabhī shaad haiñ nāshād kahāñ milte haiñ
bas lakīreñ sī kitāboñ meñ nazar aatī haiñ
lafz kab milte haiñ ā'dād kahāñ milte haiñ
shahr to milte hain aabaad kahan milte hain
log galiyon mein bhi aazad kahan milte hain
ai mere 'ishq ke ustad KHuda baKHshe tujhe
is hunar ke bhi ab ustad kahan milte hain
koi shirin kisi bazar mein ye kahti thi
sar kahan phaTte hain farhad kahan milte hain
'umr-bhar sath nibhane ka jo dam bharte hain
wo bhi do chaar dinon ba'd kahan milte hain
hum ne nashad zamane se mohabbat sikhi
ab sabhi shad hain nashad kahan milte hain
bas lakiren si kitabon mein nazar aati hain
lafz kab milte hain aa'dad kahan milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.