shahron mein mohabbat ke nishan DhunD raha hun
shahroñ meñ mohabbat ke nishāñ DhūñD rahā huuñ
nādān huuñ kyā chiiz kahāñ DhūñD rahā huuñ
jis ke dar-o-dīvār pe saaya na ho ġham kā
ik umr huī aisā makāñ DhūñD rahā huuñ
bhaTkī huī rūhoñ ko dikhā de jo sahī samt
muddat huī vo tarz-e-bayāñ DhūñD rahā huuñ
shahron mein mohabbat ke nishan DhunD raha hun
nadan hun kya chiz kahan DhunD raha hun
jis ke dar-o-diwar pe saya na ho gham ka
ek umr hui aisa makan DhunD raha hun
bhaTki hui ruhon ko dikha de jo sahi samt
muddat hui wo tarz-e-bayan DhunD raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.