shahron mein nachta hua jangal hai aur main
shahroñ meñ nāchtā huā jañgal hai aur maiñ
sadiyoñ ke baad bhī vahī qātil hai aur maiñ
paañv kī gard ho chukīñ kitnī masāfateñ
ab bhī magar vo dūrī-e-manzil hai aur maiñ
samjhūñ ab aur kyā tujhe kāfir-adā nizām
barsoñ se ek vāda-e-bātil hai aur maiñ
pūchho pasand to hai vahī chashm-e-nīm-bāz
vaise har ek gaam pe maqtal hai aur maiñ
shahron mein nachta hua jangal hai aur main
sadiyon ke baad bhi wahi qatil hai aur main
panw ki gard ho chukin kitni masafaten
ab bhi magar wo duri-e-manzil hai aur main
samjhun ab aur kya tujhe kafir-ada nizam
barson se ek wada-e-baatil hai aur main
puchho pasand to hai wahi chashm-e-nim-baz
waise har ek gam pe maqtal hai aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.