shaida-e-justuju hun talash-e-samar nahin
shaidā-e-justujū huuñ talāsh-e-samar nahīñ
mujh ko ye ġham nahīñ ki duā meñ asar nahīñ
shikva kisī se kyā ho shikāyat kisī se kyā
mahv-e-ḳhayāl-e-yār huuñ apnī ḳhabar nahīñ
apnā nahīñ hai hosh mujhe terī yaad hai
be-ḳhud huuñ be-ḳhudī hai magar be-ḳhabar nahīñ
koī kamī zarūr mohabbat meñ hai kahīñ
mumkin nahīñ ki dard idhar ho udhar nahīñ
jab dil meñ tū hī tū hai tujhe DhūñDhte haiñ kyoñ
dair-o-haram bane haiñ magar terā ghar nahīñ
koī bhī kār-e-ḳhair kisī se na ban paḌe
itnā to zindagī kā safar muḳhtasar nahīñ
kyā ḳhud kaheñ kisī se 'sadaf' meñ guhar bhī hai
sunte haiñ is dayār meñ ahl-e-nazar nahīñ
shaida-e-justuju hun talash-e-samar nahin
mujh ko ye gham nahin ki dua mein asar nahin
shikwa kisi se kya ho shikayat kisi se kya
mahw-e-KHayal-e-yar hun apni KHabar nahin
apna nahin hai hosh mujhe teri yaad hai
be-KHud hun be-KHudi hai magar be-KHabar nahin
koi kami zarur mohabbat mein hai kahin
mumkin nahin ki dard idhar ho udhar nahin
jab dil mein tu hi tu hai tujhe DhunDhte hain kyon
dair-o-haram bane hain magar tera ghar nahin
koi bhi kar-e-KHair kisi se na ban paDe
itna to zindagi ka safar muKHtasar nahin
kya KHud kahen kisi se 'sadaf' mein guhar bhi hai
sunte hain is dayar mein ahl-e-nazar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.