shaiKH ke haal par tassuf hai
shaiḳh ke haal par ta.assuf hai
shakl-e-rozī kī ik tasavvuf hai
jis kī auqāt ho tasavvuf par
us ke is rozgār par tuf hai
jin ko dā'vā hai haq-shanāsī kā
un se bande ko bhī ta'āruf hai
na to 'irfāñ ke un meñ haiñ andāz
ma.arifat se na kuchh tasharruf hai
kaisī ta.amīl-e-hukm ḳhāliq kī
kaisā islām sad-ta.assuf hai
kaun se amar-e-dīñ ko koī kahe
diin kā diin hī tasavvuf hai
dīn-e-ahmad se ho jo bāhar baat
vahī is 'ahd meñ tasavvuf hai
maal jo kuchh hai bevaqūfoñ kā
shaiḳh kā maal be-takalluf hai
hai 'asar' ye tasarruf-e-be-jā
aur koī nahīñ tasarruf hai
shaiKH ke haal par tassuf hai
shakl-e-rozi ki ek tasawwuf hai
jis ki auqat ho tasawwuf par
us ke is rozgar par tuf hai
jin ko da'wa hai haq-shanasi ka
un se bande ko bhi ta'aruf hai
na to 'irfan ke un mein hain andaz
marifat se na kuchh tasharruf hai
kaisi tamil-e-hukm KHaliq ki
kaisa islam sad-tassuf hai
kaun se amar-e-din ko koi kahe
din ka din hi tasawwuf hai
din-e-ahmad se ho jo bahar baat
wahi is 'ahd mein tasawwuf hai
mal jo kuchh hai bewaqufon ka
shaiKH ka mal be-takalluf hai
hai 'asar' ye tasarruf-e-be-ja
aur koi nahin tasarruf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.