shaiKH sahib jo dar-e-pir-e-mughan se nikle
shaiḳh sāhib jo dar-e-pīr-e-muġhāñ se nikle
phir asar un kī du'āoñ meñ kahāñ se nikle
jaise sho'la sā koī un kī zabāñ se nikle
lafz nikle ki koī tiir kamāñ se nikle
vo yahāñ se ki vahāñ se ki vahāñ se nikle
dekhne vaale ye kahte the kahāñ se nikle
vo jo baste the mire dil meñ baḌī muddat se
utre nazroñ se vo aur dil ke makāñ se nikle
muddatoñ se the jo ḳhāmosh vahī bol paḌe
saikḌoñ lafz achānak se zabāñ se nikle
saath kuchh bhī na gayā daulat-o-‘izzat shohrat
haath ḳhālī hī vo 'ātif' ye jahāñ se nikle
shaiKH sahib jo dar-e-pir-e-mughan se nikle
phir asar un ki du'aon mein kahan se nikle
jaise sho'la sa koi un ki zaban se nikle
lafz nikle ki koi tir kaman se nikle
wo yahan se ki wahan se ki wahan se nikle
dekhne wale ye kahte the kahan se nikle
wo jo baste the mere dil mein baDi muddat se
utre nazron se wo aur dil ke makan se nikle
muddaton se the jo KHamosh wahi bol paDe
saikDon lafz achanak se zaban se nikle
sath kuchh bhi na gaya daulat-o-‘izzat shohrat
hath KHali hi wo 'atif' ye jahan se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.