shajar bolte hain hajar bolte hain
shajar bolte haiñ hajar bolte haiñ
safar meñ mire ham-safar bolte haiñ
maiñ tanhā bhī rahtā huuñ mahv-e-takallum
mire ghar ke dīvār-o-dar bolte haiñ
zabāñ ko ijāzat na ho bolne kī
to be-sāḳhta bāl-o-par bolte haiñ
agar mas.ale anjuman meñ na suljheñ
to maidāñ meñ tīr-o-tabar bolte haiñ
ḳhudā is taraf hai ḳhudā.ī udhar hai
sanā-ḳhvān-e-mashriq kidhar bolte haiñ
hunar-mand karte nahīñ ḳhud-satā.ī
chhupe haiñ jo un meñ hunar bolte haiñ
shahīdoñ ke jismoñ se kyā pūchhte ho
rakhe tasht meñ un ke sar bolte haiñ
shajar bolte hain hajar bolte hain
safar mein mere ham-safar bolte hain
main tanha bhi rahta hun mahw-e-takallum
mere ghar ke diwar-o-dar bolte hain
zaban ko ijazat na ho bolne ki
to be-saKHta baal-o-par bolte hain
agar masale anjuman mein na suljhen
to maidan mein tir-o-tabar bolte hain
KHuda is taraf hai KHudai udhar hai
sana-KHwan-e-mashriq kidhar bolte hain
hunar-mand karte nahin KHud-satai
chhupe hain jo un mein hunar bolte hain
shahidon ke jismon se kya puchhte ho
rakhe tasht mein un ke sar bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.