shajar-e-ishq hamein dar ke manand bhi hai
shajar-e-ishq hameñ daar ke mānand bhī hai
dil kisī shāḳh-e-tarab-nāk se paivand bhī hai
dil-e-nādāñ se nahīñ ahl-e-jahāñ se pūchho
koī mīsāq-e-mohabbat pe razā-mand bhī hai
darguzar bām-e-vafā se ki junūñ-ḳhez havā
ye charāġh ek shab-e-va.ada kā pāband bhī hai
raat tanhā.ī ta.āqub meñ musalsal koī chaap
aur jab ilm ho aage ye galī band bhī hai
chhoḌ bhī aa.e vo ghar bhuul bhī aa.e haiñ vo yaad
dil meñ kuchh TuuTe hue tiir ke mānand bhī hai
dastak-e-hijr se TuuTī thī mirī niiñd so ab
raat bhī baaqī hai aur ḳhvāb kā dar band bhī hai
shajar-e-ishq hamein dar ke manand bhi hai
dil kisi shaKH-e-tarab-nak se paiwand bhi hai
dil-e-nadan se nahin ahl-e-jahan se puchho
koi misaq-e-mohabbat pe raza-mand bhi hai
darguzar baam-e-wafa se ki junun-KHez hawa
ye charagh ek shab-e-wada ka paband bhi hai
raat tanhai taaqub mein musalsal koi chap
aur jab ilm ho aage ye gali band bhi hai
chhoD bhi aae wo ghar bhul bhi aae hain wo yaad
dil mein kuchh TuTe hue tir ke manand bhi hai
dastak-e-hijr se TuTi thi meri nind so ab
raat bhi baqi hai aur KHwab ka dar band bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.