shajar-e-umid bhi jal gaya wo wafa ki shaKH bhi jal gai
shajar-e-umid bhi jal gaya wo wafa ki shaKH bhi jal gai
Gulnar Aafreen
MORE BYGulnar Aafreen
shajar-e-umīd bhī jal gayā vo vafā kī shāḳh bhī jal ga.ī
mire dil kā naqsha badal gayā mirī sub.h raat meñ Dhal ga.ī
vahī zindagī jo bahar-nafas jo bahar-qadam mire saath thī
kabhī merā saath bhī chhoḌ kar mirī manzileñ bhī badal ga.ī
na vo aarzū hai na justujū na koī tasavvur-e-rañg-o-bū
liye dil meñ dāġh-e-ġham-e-ḳhizāñ maiñ chaman se duur nikal ga.ī
tirī chaal puurī na ho sakī tirā vaar ḳhālī chalā gayā
zarā dekh gardish-e-āsmāñ ki maiñ girte girte sañbhal ga.ī
tirī chāhatoñ se sañvar ga.e ye mire jamāl ke aa.ine
maiñ gulāb ban ke mahak uThī maiñ shafaq ke rang meñ Dhal ga.ī
ye tilism-e-mausam-e-gul nahīñ ki ye mo'jiza hai bahār kā
vo kalī jo shāḳh se gir ga.ī vo sabā kī god meñ pal ga.ī
vahī sā.at-e-ġham-e-ārzū jo hamesha dil meñ basī rahī
hai ḳhudā kā shukr ki 'āfrīñ' vo hamāre sar se to Tal ga.ī
shajar-e-umid bhi jal gaya wo wafa ki shaKH bhi jal gai
mere dil ka naqsha badal gaya meri subh raat mein Dhal gai
wahi zindagi jo bahar-nafas jo bahar-qadam mere sath thi
kabhi mera sath bhi chhoD kar meri manzilen bhi badal gai
na wo aarzu hai na justuju na koi tasawwur-e-rang-o-bu
liye dil mein dagh-e-gham-e-KHizan main chaman se dur nikal gai
teri chaal puri na ho saki tera war KHali chala gaya
zara dekh gardish-e-asman ki main girte girte sanbhal gai
teri chahaton se sanwar gae ye mere jamal ke aaine
main gulab ban ke mahak uThi main shafaq ke rang mein Dhal gai
ye tilism-e-mausam-e-gul nahin ki ye mo'jiza hai bahaar ka
wo kali jo shaKH se gir gai wo saba ki god mein pal gai
wahi saat-e-gham-e-arzu jo hamesha dil mein basi rahi
hai KHuda ka shukr ki 'afrin' wo hamare sar se to Tal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.