shajar hain pyase kai baras ke
shajar haiñ pyāse ka.ī baras ke
maiñ thak gayā huuñ baras baras ke
tum us kī āñkhoñ meñ dekh lenā
tamām sho'be haiñ rang-o-ras ke
jo us ke dil meñ ujaaḌ ghar haiñ
subūt haiñ merī dastaras ke
ka.ī Thikāne badal chuke haiñ
farār qaidī haiñ ham qafas ke
shajar hain pyase kai baras ke
main thak gaya hun baras baras ke
tum us ki aankhon mein dekh lena
tamam sho'be hain rang-o-ras ke
jo us ke dil mein ujaD ghar hain
subut hain meri dastaras ke
kai Thikane badal chuke hain
farar qaidi hain hum qafas ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.