shajar mein shajar sa bacha kuchh nahin
shajar meñ shajar sā bachā kuchh nahīñ
havāoñ se phir bhī gilā kuchh nahīñ
kahā kyā guzarte hue abr ne
jhulastī zamīñ ne sunā kuchh nahīñ
kināroñ pe likkhā thā kyā kyā magar
kisī mauj ne bhī paḌhā kuchh nahīñ
chalo ab kisī kī duā mil ga.ī
mire paas vaise bhī thā kuchh nahīñ
use ab bhī 'fārūq' kahte ho ghar
ab is meñ to ghar sā bachā kuchh nahīñ
shajar mein shajar sa bacha kuchh nahin
hawaon se phir bhi gila kuchh nahin
kaha kya guzarte hue abr ne
jhulasti zamin ne suna kuchh nahin
kinaron pe likkha tha kya kya magar
kisi mauj ne bhi paDha kuchh nahin
chalo ab kisi ki dua mil gai
mere pas waise bhi tha kuchh nahin
use ab bhi 'faruq' kahte ho ghar
ab is mein to ghar sa bacha kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.