shajar par jitni sukhi pattiyan hain
shajar par jitnī sūkhī pattiyāñ haiñ
tumhāre naam merī chiTThiyāñ haiñ
qarīb aane se pahle soch lenā
mire andar bahut sī ḳhāmiyāñ haiñ
abhī har mauj chup sādhe hue hai
abhī sāhil pe saarī kashtiyāñ haiñ
siyāsat ke machhere jānte haiñ
ki kis dariyā meñ kitnī machhliyāñ haiñ
vahī aadat hai sab kī zaaġh jaisī
vahī bulbul sī mīThī boliyāñ haiñ
shajar par jitni sukhi pattiyan hain
tumhaare nam meri chiTThiyan hain
qarib aane se pahle soch lena
mere andar bahut si KHamiyan hain
abhi har mauj chup sadhe hue hai
abhi sahil pe sari kashtiyan hain
siyasat ke machhere jaante hain
ki kis dariya mein kitni machhliyan hain
wahi aadat hai sab ki zagh jaisi
wahi bulbul si miThi boliyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.