shajar parind KHas-o-Khaar ko bachana paDa
shajar parind ḳhas-o-ḳhār ko bachānā paḌā
chaman meñ aag lagī thī use bujhānā paḌā
bahut diye the jo maiñ ne jalā ke rakkhe the
har ik diye meñ magar ḳhud hī jhilmilānā paḌā
bichhaḌ gayā thā kisī roz apne aap se maiñ
phir apne aap ko us kī galī se laanā paḌā
vo ḳhud hī merī kahānī meñ ho gayā shāmil
aur us ke naam kā kirdār bhī nibhānā paḌā
vo hārtā huā dekhā nahīñ gayā mujh se
shikast maan lī aur us se haar jaanā paḌā
kisī kā dil na dukhā.eñge ham ne sochā thā
phir ek din hameñ apnā hī dil dukhānā paḌā
shajar parind KHas-o-KHar ko bachana paDa
chaman mein aag lagi thi use bujhana paDa
bahut diye the jo main ne jala ke rakkhe the
har ek diye mein magar KHud hi jhilmilana paDa
bichhaD gaya tha kisi roz apne aap se main
phir apne aap ko us ki gali se lana paDa
wo KHud hi meri kahani mein ho gaya shamil
aur us ke nam ka kirdar bhi nibhana paDa
wo haarta hua dekha nahin gaya mujh se
shikast man li aur us se haar jaana paDa
kisi ka dil na dukhaenge hum ne socha tha
phir ek din hamein apna hi dil dukhana paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.