shajar to kab ka kaT ke gir chuka hai
shajar to kab kā kaT ke gur chukā hai
parinda shāḳh se lipTā huā hai
samundar sāhiloñ se pūchhtā hai
tumhārā shahr kitnā jāgtā hai
havā ke haath ḳhālī ho chuke haiñ
yahāñ har peḌ nañgā ho chukā hai
ab us se dostī mumkin hai merī
vo apne jism ke bāhar khaḌā hai
bahā kar le ga.iiñ maujeñ gharauñdā
vo bachcha kis liye phir hañs rahā hai
shajar to kab ka kaT ke gur chuka hai
parinda shaKH se lipTa hua hai
samundar sahilon se puchhta hai
tumhaara shahr kitna jagta hai
hawa ke hath KHali ho chuke hain
yahan har peD nanga ho chuka hai
ab us se dosti mumkin hai meri
wo apne jism ke bahar khaDa hai
baha kar le gain maujen gharaunda
wo bachcha kis liye phir hans raha hai
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.