shak nahin hai hamein us but ke KHuda hone mein
shak nahīñ hai hameñ us but ke ḳhudā hone meñ
chain hī chain hai rāzī-ba-razā hone meñ
kaun chhup chhup ke mohabbat nahīñ kartā āḳhir
kyā burā.ī hai yahī khel khulā hone meñ
bāt-be-bāt unheñ aadat hai ḳhafā hone kī
koī saanī nahīñ rakhte vo ḳhafā hone meñ
zinda rahne se baḌā jurm bhalā kyā hogā
tāham ik umr guzārī hai sazā hone meñ
pahle duniyā meñ vafā koī sifat hotī thī
sharm aatī hai ab arbāb-e-vafā hone meñ
mas.ala ban ga.ī chhoTī sī burā.ī ai 'shu.ūr'
kyā takalluf hai bhalā aur burā hone meñ
shak nahin hai hamein us but ke KHuda hone mein
chain hi chain hai raazi-ba-raza hone mein
kaun chhup chhup ke mohabbat nahin karta aaKHir
kya burai hai yahi khel khula hone mein
baat-be-baat unhen aadat hai KHafa hone ki
koi sani nahin rakhte wo KHafa hone mein
zinda rahne se baDa jurm bhala kya hoga
taham ek umr guzari hai saza hone mein
pahle duniya mein wafa koi sifat hoti thi
sharm aati hai ab arbab-e-wafa hone mein
masala ban gai chhoTi si burai ai 'shuur'
kya takalluf hai bhala aur bura hone mein
- Book : Urdu Quarterly BADBAAN (Pg. 198)
- Author : Nasir Bagdadi
- Publication : E-2, 8/14, Mayar Square, Block No.14 Gulshane-e-Iqbal (Oct. - Dec. 2002,Issue No 8 )
- Edition : Oct. - Dec. 2002,Issue No 8
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.