shaKHsiyat jis ki anal-haq ki saza-war lage
shaKHsiyat jis ki anal-haq ki saza-war lage
Shariq Jamal Nagpuri
MORE BYShariq Jamal Nagpuri
shaḳhsiyat jis kī anal-haq kī sazā-vār lage
har taraf us ke na kyoñ falsafa-e-dār lage
saañs maiñ rokūñ to ruk jaa.e nizām-e-ālam
nabz hāthoñ kī mire vaqt kī raftār lage
ḳhabar-e-hāl-e-chaman kyoñ na mile nāzir ko
varaq-e-chehra-e-gul saf.ha-e-aḳhbār lage
ho ga.ī aam añdhere kī ḳhabar chhup na sakī
sub.h har chehre hameñ raat ke aḳhbār lage
jis kī nazroñ meñ nahīñ siip kī koī qīmat
abr-e-naisāñ kā amal hī use dur-bār lage
shaKHsiyat jis ki anal-haq ki saza-war lage
har taraf us ke na kyon falsafa-e-dar lage
sans main rokun to ruk jae nizam-e-alam
nabz hathon ki mere waqt ki raftar lage
KHabar-e-haal-e-chaman kyon na mile nazir ko
waraq-e-chehra-e-gul safha-e-aKHbar lage
ho gai aam andhere ki KHabar chhup na saki
subh har chehre hamein raat ke aKHbar lage
jis ki nazron mein nahin sip ki koi qimat
abr-e-naisan ka amal hi use dur-bar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.