Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shakl-e-mizhgan na Khaar ki si hai

Shad Lakhnavi

shakl-e-mizhgan na Khaar ki si hai

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    shakl-e-mizhgāñ na ḳhaar hai

    ham ne taaḌī kaTār hai

    hañs ke kahte haiñ bosa-bāzī meñ

    jiit bhī apnī haar hai

    ishq-e-mizhgāñ meñ ham ne kāñToñ se

    sozanī jism-e-zār hai

    us pe ālam-fareb hai duniyā

    phuus baḌhiyā madār hai

    garm-raftār hai vo jaane meñ

    mujh ko aamad najār hai

    apnī āñkhoñ meñ har galī tasvīr

    'shād' putlī kumhār hai

    shakl-e-mizhgan na KHar ki si hai

    hum ne taDi kaTar ki si hai

    hans ke kahte hain bosa-bazi mein

    jit bhi apni haar ki si hai

    ishq-e-mizhgan mein hum ne kanTon se

    sozani jism-e-zar ki si hai

    us pe aalam-fareb hai duniya

    phus baDhiya madar ki si hai

    garm-raftar hai wo jaane mein

    mujh ko aamad najar ki si hai

    apni aankhon mein har gali taswir

    'shad' putli kumhaar ki si hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now