shakl izzat-ma.āb kī sī hai
dil meñ bhaTTī sharāb kī sī hai
yuuñ nishāñ hai jabīñ pe sajde kā
Tikiyā shāmī kabāb kī sī hai
radio par sunī jo nazm kahā
shā.er-e-inqalāb kī sī hai
bolā koī gadhā kahā āvāz
usī ḳhāna-ḳharāb kī sī hai
ab hasīnoñ kī shakl makeup se
cinema kī kitāb kī sī hai
aap ke mere koī hai rishta
baat jaise hijāb kī sī hai
uTh ga.e jo adiib un kī misāl
āsmānī kitāb kī sī hai
ahl-e-fan ne sunī hazal to kahā
ye to 'ġhālib' navāb kī sī hai
'nāvak' urdu zabān kī hālat
aaj gūñge ke ḳhvāb kī sī hai
shakl izzat-maab ki si hai
dil mein bhaTTi sharab ki si hai
yun nishan hai jabin pe sajde ka
Tikiya shami kabab ki si hai
radio par suni jo nazm kaha
shaer-e-inqalab ki si hai
bola koi gadha kaha aawaz
usi KHana-KHarab ki si hai
ab hasinon ki shakl makeup se
cinema ki kitab ki si hai
aap ke mere koi hai rishta
baat jaise hijab ki si hai
uTh gae jo adib un ki misal
aasmani kitab ki si hai
ahl-e-fan ne suni hazal to kaha
ye to 'ghaalib' nawab ki si hai
'nawak' urdu zaban ki haalat
aaj gunge ke KHwab ki si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.