shakl jab bas gai aankhon mein to chhupna kaisa
shakl jab bas gai aankhon mein to chhupna kaisa
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
shakl jab bas ga.ī āñkhoñ meñ to chhupnā kaisā
dil meñ ghar kar ke mirī jaan ye pardā kaisā
bā-adab haiñ tire sab kushta-e-nāz ai qātil
saañs leñge na dam-e-zabh taḌapnā kaisā
aap maujūd haiñ hāzir hai ye sāmān-e-nashāt
'uzr sab tai haiñ bas ab vā'da-e-fardā kaisā
terī āñkhoñ kī jo tārīf sunī hai mujh se
ghūrtī hai mujhe ye nargis-e-shahlā kaisā
haath baḌhte haiñ garebāñ kī taraf paañv nikāl
al-madad josh-e-junūñ sabz hai sahrā kaisā
ai masīhā yūñhī karte haiñ marīzoñ kā 'ilāj
kuchh na pūchhā ki hai bīmār hamārā kaisā
garm-bāzārī-e-ḳhurshīd-e-qayāmat huī sard
hashr meñ dāġh-e-mohabbat mirā chamkā kaisā
kyā kahā tum ne ki ham jaate haiñ dil apnā sañbhāl
ye taḌap kar nikal aa.egā sañbhalnā kaisā
muñh dikhā.e na ḳhudā hijr kī shab kā 'akbar'
ḳhauf is kā hai hameñ hashr kā dhaḌkā kaisā
shakl jab bas gai aankhon mein to chhupna kaisa
dil mein ghar kar ke meri jaan ye parda kaisa
ba-adab hain tere sab kushta-e-naz ai qatil
sans lenge na dam-e-zabh taDapna kaisa
aap maujud hain hazir hai ye saman-e-nashat
'uzr sab tai hain bas ab wa'da-e-farda kaisa
teri aankhon ki jo tarif suni hai mujh se
ghurti hai mujhe ye nargis-e-shahla kaisa
hath baDhte hain gareban ki taraf panw nikal
al-madad josh-e-junun sabz hai sahra kaisa
ai masiha yunhi karte hain marizon ka 'ilaj
kuchh na puchha ki hai bimar hamara kaisa
garm-bazari-e-KHurshid-e-qayamat hui sard
hashr mein dagh-e-mohabbat mera chamka kaisa
kya kaha tum ne ki hum jate hain dil apna sanbhaal
ye taDap kar nikal aaega sanbhalna kaisa
munh dikhae na KHuda hijr ki shab ka 'akbar'
KHauf is ka hai hamein hashr ka dhaDka kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.