sham-e-ummid gar nahin hoti
sham-e-ummīd gar nahīñ hotī
shām-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
haa.e nā-qadrī-e-jahāñ afsos
qadr-e-ahl-e-hunar nahīñ hotī
baat karte haiñ log barsoñ kī
aur pal kī ḳhabar nahīñ hotī
ek aisā bhī hai safar ki jahāñ
zindagī ham-safar nahīñ hotī
haq-pasandī mizāj ho jis kā
muflisī us ke ghar nahīñ hotī
zindagī kā na e.atibār karo
zindagī mo'atabar nahīñ hotī
sham-e-ummid gar nahin hoti
sham-e-gham ki sahar nahin hoti
hae na-qadri-e-jahan afsos
qadr-e-ahl-e-hunar nahin hoti
baat karte hain log barson ki
aur pal ki KHabar nahin hoti
ek aisa bhi hai safar ki jahan
zindagi ham-safar nahin hoti
haq-pasandi mizaj ho jis ka
muflisi us ke ghar nahin hoti
zindagi ka na eatibar karo
zindagi mo'atabar nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.