sham-e-wafa bujhi hai na dil hai bujha hua
sham-e-vafā bujhī hai na dil hai bujhā huā
tārīk kaise pyaar kā har rāsta huā
raushan hai daaġh daaġh tamannā kā aaj bhī
lekin nigāh-e-gardish-e-daurāñ ko kyā huā
ik ham ki āshnā rahe har ik se pyaar meñ
ik vo ki ho ke āshnā nā-āshnā huā
dil ke jale dayār pe aañsū bahā.e kaun
sab dekhte haiñ ye ki hai chehra khilā huā
'shāġhil' 'adīb' qurb meñ jin ke kaTī hayāt
vo dost ab kahāñ ga.e vo pyaar kyā huā
sham-e-wafa bujhi hai na dil hai bujha hua
tarik kaise pyar ka har rasta hua
raushan hai dagh dagh tamanna ka aaj bhi
lekin nigah-e-gardish-e-dauran ko kya hua
ek hum ki aashna rahe har ek se pyar mein
ek wo ki ho ke aashna na-ashna hua
dil ke jale dayar pe aansu bahae kaun
sab dekhte hain ye ki hai chehra khila hua
'shaghil' 'adib' qurb mein jin ke kaTi hayat
wo dost ab kahan gae wo pyar kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.