sham se thi jo ziya ki ummid
sham' se thī jo ziyā kī ummīd
le ga.ī us ko sabā kī ummīd
'ahd-o-paimān vahī toḌ ga.e
ham ko jin se thī balā kī ummīd
ab kisī aur kā muñh kyā dekheñ
ham ko hai tujh se du'ā kī ummīd
zahr dene pe utar aa.e haiñ vo
jin se rakkhī thī davā kī ummīd
aadmī huuñ maiñ farishta na samajh
har bashar se hai ḳhatā kī ummīd
hausla past huā raah meñ jab
'ishq ne tere 'atā kī ummīd
mahv-e-hairat huuñ vahī kaam aa.e
jin se mujh ko thī daġhā kī ummīd
zindagānī kā bharosa kyā hai
har nafas rakhiye qazā kī ummīd
tum bhī nādān ho kitne 'faisal'
be-vafāoñ se vafā kī ummīd
sham' se thi jo ziya ki ummid
le gai us ko saba ki ummid
'ahd-o-paiman wahi toD gae
hum ko jin se thi bala ki ummid
ab kisi aur ka munh kya dekhen
hum ko hai tujh se du'a ki ummid
zahr dene pe utar aae hain wo
jin se rakkhi thi dawa ki ummid
aadmi hun main farishta na samajh
har bashar se hai KHata ki ummid
hausla past hua rah mein jab
'ishq ne tere 'ata ki ummid
mahw-e-hairat hun wahi kaam aae
jin se mujh ko thi dagha ki ummid
zindagani ka bharosa kya hai
har nafas rakhiye qaza ki ummid
tum bhi nadan ho kitne 'faisal'
be-wafaon se wafa ki ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.