sham tu ye to bata pas tere aane mein
sham' tū ye to batā paas tire aane meñ
jaan de detā hai parvāna kyoñ nazrāne meñ
dil to ham de hī chuke aap ko nazrāne meñ
jaan baaqī hai magar aap ke dīvāne meñ
vaqt kaisā bhī ho dhīre se guzar jaatā hai
vaqt lagtā nahīñ hai vaqt guzar jaane meñ
aaj mumkin hai vo laḌkī mujhe tarjīh na de
kal magar naam mirā aa.egā dīvāne meñ
zindagī zulf nahīñ thī jo sañvārī jaatī
zindagī aur ulajhtī ga.ī suljhāne meñ
rādhikā ko thā yaqīñ jab bhī pukāregī use
nand kā laal chalā aa.egā barsāne meñ
bas isī baat pe hangāma yahāñ barpā hai
maiñ chhalaktā rahā vo Dhal gayā paimāne meñ
itnī mushkil to na thī merī kahānī phir bhī
'umr kyoñ biit ga.ī aap ko samjhāne meñ
sham' tu ye to bata pas tere aane mein
jaan de deta hai parwana kyon nazrane mein
dil to hum de hi chuke aap ko nazrane mein
jaan baqi hai magar aap ke diwane mein
waqt kaisa bhi ho dhire se guzar jata hai
waqt lagta nahin hai waqt guzar jaane mein
aaj mumkin hai wo laDki mujhe tarjih na de
kal magar nam mera aaega diwane mein
zindagi zulf nahin thi jo sanwari jati
zindagi aur ulajhti gai suljhane mein
radhika ko tha yaqin jab bhi pukaregi use
nand ka lal chala aaega barsane mein
bas isi baat pe hangama yahan barpa hai
main chhalakta raha wo Dhal gaya paimane mein
itni mushkil to na thi meri kahani phir bhi
'umr kyon bit gai aap ko samjhane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.