shama bhi is safa se jalti hai
sham.a bhī is safā se jaltī hai
tere ruḳh par nigah phisaltī hai
ḳhaak uḌātī hai ai sabā merī
be-adab kis tarah se chaltī hai
vo na aayā to jaan jā.eñge
kab tabī.at mirī bahaltī hai
dil nikaltā hai us ke gesū se
nāganī dekho man ugaltī hai
nigah-e-garm yaar dekhe hai
kab kisī se ye aañkh jaltī hai
ik parī-rū pe 'barq' martā huuñ
jaan us par mirī nikaltī hai
shama bhi is safa se jalti hai
tere ruKH par nigah phisalti hai
KHak uDati hai ai saba meri
be-adab kis tarah se chalti hai
wo na aaya to jaan jaenge
kab tabiat meri bahalti hai
dil nikalta hai us ke gesu se
nagani dekho man ugalti hai
nigah-e-garm yar dekhe hai
kab kisi se ye aankh jalti hai
ek pari-ru pe 'barq' marta hun
jaan us par meri nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.