shama ki bazm mein aise hi parwana nahin aata
sham.a kī bazm meñ aise hī parvāna nahīñ aatā
nahīñ hotī agar jur.at to dīvāna nahīñ aatā
nasīhat de rahe haiñ peḌ se jhaḌte hue patte
jise khonā nahīñ aatā use paanā nahīñ aatā
nahīñ to mujh ko bhī hote tire ruḳhsār-o-lab āsāñ
mujhe zulfoñ ke pechoñ sā yuuñ bal khānā nahīñ aatā
tere chehre pe ik muskān ik muskān lagtī hai
kisī ko bhī tirī mānind muskānā nahīñ aatā
tujhe maiñ pyaar kartā huuñ tujhe jatlā.ūñ par kaise
tū hī jaane to jaane mujh ko jatlānā nahīñ aatā
shama ki bazm mein aise hi parwana nahin aata
nahin hoti agar jurat to diwana nahin aata
nasihat de rahe hain peD se jhaDte hue patte
jise khona nahin aata use pana nahin aata
nahin to mujh ko bhi hote tere ruKHsar-o-lab aasan
mujhe zulfon ke pechon sa yun bal khana nahin aata
tere chehre pe ek muskan ek muskan lagti hai
kisi ko bhi teri manind muskana nahin aata
tujhe main pyar karta hun tujhe jatlaun par kaise
tu hi jaane to jaane mujh ko jatlana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.