shama kyon aane lagi mere siyah-KHane tak
sham.a kyoñ aane lagī mere siyah-ḳhāne tak
duur mujh soḳhta-sāmāñ se haiñ parvāne tak
hameñ mahrūm na rakh sāġhar-e-mai se saaqī
muddatoñ meñ kabhī aa jaate haiñ maiḳhāne tak
husn ne bāñdhā hai nā-qābil-e-tasḳhīr tilism
apne afsūn-e-nazar se mire afsāne tak
maiñ to maiñ huuñ dar-o-dīvār bichhā.eñ āñkheñ
kabhī tum aa ke to dekho mire kāshāne tak
furqat-e-gul meñ jo tū garm-e-fuġhāñ hai bulbul
aag lag jaa.e na gulshan meñ bahār aane tak
chashm tar hotī hai jis vaqt pighaltā hai dil
baḌī mushkil se ye mai aatī hai paimāne tak
shiddat-e-karb hai tamhīd sukūñ kī lekin
jaan par guzregī kyā dil ko qarār aane tak
abhī āñkhoñ hī ko de bazm meñ gardish saaqī
yahī paimāne chhalakte raheñ jaam aane tak
de na de saath mirā gardish-e-daurāñ 'āsif'
zinda rahnā hai bahar-hāl qazā aane tak
shama kyon aane lagi mere siyah-KHane tak
dur mujh soKHta-saman se hain parwane tak
hamein mahrum na rakh saghar-e-mai se saqi
muddaton mein kabhi aa jate hain maiKHane tak
husn ne bandha hai na-qabil-e-tasKHir tilism
apne afsun-e-nazar se mere afsane tak
main to main hun dar-o-diwar bichhaen aankhen
kabhi tum aa ke to dekho mere kashane tak
furqat-e-gul mein jo tu garm-e-fughan hai bulbul
aag lag jae na gulshan mein bahaar aane tak
chashm tar hoti hai jis waqt pighalta hai dil
baDi mushkil se ye mai aati hai paimane tak
shiddat-e-karb hai tamhid sukun ki lekin
jaan par guzregi kya dil ko qarar aane tak
abhi aankhon hi ko de bazm mein gardish saqi
yahi paimane chhalakte rahen jam aane tak
de na de sath mera gardish-e-dauran 'asif'
zinda rahna hai bahar-haal qaza aane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.