shama ne lau di to parwane bane
sham.a ne lau dī to parvāne bane
jaan dene ko ye dīvāne bane
pyaar ke qisse kabhī chhupte nahīñ
chāhne vāloñ ke afsāne bane
jab se dekhā hai tirā husn-o-jamāl
saarī duniyā se haiñ begāne bane
dil meñ armāñ haiñ ki ham un se mileñ
diid kī chāhat ke mastāne bane
pyaar meñ 'ramman' ye hālat ho ga.ī
āj-kal haiñ ḳhud se begāne bane
shama ne lau di to parwane bane
jaan dene ko ye diwane bane
pyar ke qisse kabhi chhupte nahin
chahne walon ke afsane bane
jab se dekha hai tera husn-o-jamal
sari duniya se hain begane bane
dil mein arman hain ki hum un se milen
did ki chahat ke mastane bane
pyar mein 'ramman' ye haalat ho gai
aaj-kal hain KHud se begane bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.