shama-ru jalwa-kunan tha mujhe malum na tha
sham.a-rū jalva-kunāñ thā mujhe mālūm na thā
saaf parde se ayaañ thā mujhe mālūm na thā
gul meñ bulbul meñ har ik shāḳh meñ patte meñ bhī
jā-ba-jā us kā nishāñ thā mujhe mālūm na thā
ye ġhalat hasti-e-mauhūm ko samjhe the magar
aur vatan apnā yahāñ thā mujhe mālūm na thā
ek muddat haram-o-dair meñ DhūñDā nāhaq
sīm-bar dil meñ nihāñ thā mujhe mālūm na thā
sach to ye hai ki sivā yaar ke jo kuchh thā 'hayāt'
vahm thā shak thā gumāñ thā mujhe mālūm na thā
shama-ru jalwa-kunan tha mujhe malum na tha
saf parde se ayan tha mujhe malum na tha
gul mein bulbul mein har ek shaKH mein patte mein bhi
ja-ba-ja us ka nishan tha mujhe malum na tha
ye ghalat hasti-e-mauhum ko samjhe the magar
aur watan apna yahan tha mujhe malum na tha
ek muddat haram-o-dair mein DhunDa nahaq
sim-bar dil mein nihan tha mujhe malum na tha
sach to ye hai ki siwa yar ke jo kuchh tha 'hayat'
wahm tha shak tha guman tha mujhe malum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.