shama sar dhunti rahi mahfil mein parwanon ke sath
sham.a sar dhuntī rahī mahfil meñ parvānoñ ke saath
aap yaad aate rahe kuchh talḳh unvānoñ ke saath
shām-e-ġham shām-e-judā.ī dard-e-dil dard-e-jigar
saare qisse ḳhatm ho jā.eñge dīvānoñ ke saath
shīsha-o-paimāna hī zebā.ish-e-mai-ḳhāna haiñ
chheḌ shīshe kī nahīñ achchhī hai paimānoñ ke saath
kaisā vo dilchasp manzar hogā ai jān-e-azīz
vo hoñ sāhil pe khaḌe aur ham hoñ tūfānoñ ke saath
ham na hoñge par hamārī dāstāñ rah jā.egī
yaad ham aayā kareñge apne afsānoñ ke saath
bāda-e-irfāñ kā sāġhar le ke 'ārif' haath meñ
sū-e-mai-ḳhāna chalā hai aaj farzānoñ ke saath
shama sar dhunti rahi mahfil mein parwanon ke sath
aap yaad aate rahe kuchh talKH unwanon ke sath
sham-e-gham sham-e-judai dard-e-dil dard-e-jigar
sare qisse KHatm ho jaenge diwanon ke sath
shisha-o-paimana hi zebaish-e-mai-KHana hain
chheD shishe ki nahin achchhi hai paimanon ke sath
kaisa wo dilchasp manzar hoga ai jaan-e-aziz
wo hon sahil pe khaDe aur hum hon tufanon ke sath
hum na honge par hamari dastan rah jaegi
yaad hum aaya karenge apne afsanon ke sath
baada-e-irfan ka saghar le ke 'arif' hath mein
su-e-mai-KHana chala hai aaj farzanon ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.