shama ulfat ki bujha dun ye kahan mumkin hai
sham.a ulfat kī bujhā duuñ ye kahāñ mumkin hai
terī yādoñ ko miTā duuñ ye kahāñ mumkin hai
merī ulfat kā hai dil meñ tire ānā-jānā
koī dīvār lagā duuñ ye kahāñ mumkin hai
maut ke baad bhī tujh ko hai bhulānā mushkil
jiite jī tujh ko bhulā duuñ ye kahāñ mumkin hai
sirf ḳhushiyoñ ko patā terā batā detī huuñ
ġham ko terā maiñ patā duuñ ye kahāñ mumkin hai
toḌ kar dil ko 'sikhar' us ne ḳhatā kī lekin
apne dilbar ko sazā duuñ ye kahāñ mumkin hai
shama ulfat ki bujha dun ye kahan mumkin hai
teri yaadon ko miTa dun ye kahan mumkin hai
meri ulfat ka hai dil mein tere aana-jaana
koi diwar laga dun ye kahan mumkin hai
maut ke baad bhi tujh ko hai bhulana mushkil
jite ji tujh ko bhula dun ye kahan mumkin hai
sirf KHushiyon ko pata tera bata deti hun
gham ko tera main pata dun ye kahan mumkin hai
toD kar dil ko 'sikhar' us ne KHata ki lekin
apne dilbar ko saza dun ye kahan mumkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.