shamen jugnu chand ke haale jama karo
sham.eñ jugnū chāñd ke haale jam.a karo
bojhal hai shab narm ujāle jam.a karo
piinā hai zahrāb-e-halāhal mujh ko bhī
mere yaaro pyaar ke pyāle jam.a karo
shāyad ḳhud ko dohrā.e tārīḳh-e-vafā
apnī bazm meñ ham se jiyāle jam.a karo
aur baḌhā.eñ shaan chaman kī jin ke zaḳhm
aaj vo kāñToñ ke matvāle jam.a karo
sukh kī manzil ke sāthī to lākhoñ haiñ
dukh kī raah meñ chalne vaale jam.a karo
'raaj asīr-e-zulf na hoñge dīvāne
Dasne vaale naag nirāle jam.a karo
shamen jugnu chand ke haale jama karo
bojhal hai shab narm ujale jama karo
pina hai zahrab-e-halahal mujh ko bhi
mere yaro pyar ke pyale jama karo
shayad KHud ko dohrae tariKH-e-wafa
apni bazm mein hum se jiyale jama karo
aur baDhaen shan chaman ki jin ke zaKHm
aaj wo kanTon ke matwale jama karo
sukh ki manzil ke sathi to lakhon hain
dukh ki rah mein chalne wale jama karo
'raj asir-e-zulf na honge diwane
Dasne wale nag nirale jama karo
- Book : Shora-e-London (Pg. 90)
- Author : Johar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 ( 1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.