‘shams kahan wo ilhami thi
‘shams' kahāñ vo ilhāmī thī
sīdhī sī ik baat kahī thī
saath tire jo shab biitī thī
mujh par kaisī mad.hoshī thī
bārish se maiñ bhiig chukā thā
phir bhī kaisī tishna-labī thī
maiñ lāshoñ ke biich khaḌā thā
ghar kī har dīvār girī thī
ek barahna peḌ khaḌā thā
TuuTī us kī har Daalī thī
aag bujhāne log aa.e the
bastī jal kar ḳhaak huī thī
shahroñ shahroñ sannāTā thā
garm havā bas chīḳh rahī thī
‘shams' kahan wo ilhami thi
sidhi si ek baat kahi thi
sath tere jo shab biti thi
mujh par kaisi madhoshi thi
barish se main bhig chuka tha
phir bhi kaisi tishna-labi thi
main lashon ke bich khaDa tha
ghar ki har diwar giri thi
ek barahna peD khaDa tha
TuTi us ki har Dali thi
aag bujhane log aae the
basti jal kar KHak hui thi
shahron shahron sannaTa tha
garm hawa bas chiKH rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.