shanaKHt miT gai chehre pe gard itni thi
shanāḳht miT ga.ī chehre pe gard itnī thī
hamārī zindagī sahrā-navard itnī thī
tamām-umr use sīñchte rahe lekin
gulāb de na sakī shāḳh zard itnī thī
gire na ashk kabhī hādsoñ ke dāman par
hamārī aañkh shanāsā-e-dard itnī thī
tirī pukār kā chehra dikhā.ī de na sakā
mire qarīb sadāoñ kī gard itnī thī
talāsh-e-zīst meñ dil jaisī chiiz chhūT ga.ī
hikāyat-e-dil-o-jāñ fard fard itnī thī
jhulastī dhuup kā us par gumāñ guzartā thā
bichhī thī raah meñ jo chhāñv zard itnī thī
pighal sakī na kabhī barf akele-pan kī 'ḳhumār'
vo sho.ala-rū bhī tabī.at kī sard itnī thī
shanaKHt miT gai chehre pe gard itni thi
hamari zindagi sahra-naward itni thi
tamam-umr use sinchte rahe lekin
gulab de na saki shaKH zard itni thi
gire na ashk kabhi hadson ke daman par
hamari aankh shanasa-e-dard itni thi
teri pukar ka chehra dikhai de na saka
mere qarib sadaon ki gard itni thi
talash-e-zist mein dil jaisi chiz chhuT gai
hikayat-e-dil-o-jaan fard fard itni thi
jhulasti dhup ka us par guman guzarta tha
bichhi thi rah mein jo chhanw zard itni thi
pighal saki na kabhi barf akele-pan ki 'KHumar'
wo shoala-ru bhi tabiat ki sard itni thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.