shanasa-e-haqiqat ho gae hain
shanāsā-e-haqīqat ho ga.e haiñ
vo sab tasvīr-e-ibrat ho ga.e haiñ
dikhāte haiñ vo rasta qāfiloñ ko
jo mahrūm-e-basārat ho ga.e haiñ
fasīl-e-shahr ke andar na jaanā
vo saare gurg-sūrat ho ga.e haiñ
farozāñ haiñ bulāve sāhiloñ ke
asīr-e-mauj-e-zulmat ho ga.e haiñ
jabīnoñ par raqam āyāt-e-shafqat
qatīl-e-teġh-e-nafrat ho ga.e haiñ
shanasa-e-haqiqat ho gae hain
wo sab taswir-e-ibrat ho gae hain
dikhate hain wo rasta qafilon ko
jo mahrum-e-basarat ho gae hain
fasil-e-shahr ke andar na jaana
wo sare gurg-surat ho gae hain
farozan hain bulawe sahilon ke
asir-e-mauj-e-zulmat ho gae hain
jabinon par raqam aayat-e-shafqat
qatil-e-tegh-e-nafrat ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.