shanasa-e-rumuz-e-fitrat-e-gham hoti jati hai
shanāsā-e-rumūz-e-fitrat-e-ġham hotī jaatī hai
nishāt-o-kaif se bhī aañkh pur-nam hotī jaatī hai
maiñ jitnā chheḌtā jaatā huuñ apne barbat-e-dil ko
mirī āvāz ab utnī hī maddham hotī jaatī hai
machaltī hai nasīm-e-sub.h se āġhosh meñ paiham
guloñ se kis qadar be-bāk shabnam hotī jaatī hai
ye kaise jaam haiñ saaqī ki jitnī piitā jaatā huuñ
mirī tishna-labī utnī hī barham hotī jaatī hai
ilāhī kaun aaya hai bahāreñ le ke zindāñ meñ
nazar merī sarāpā ḳhair-maqdam hotī jaatī hai
sitam ke saath kuchh un kā karam hai mujh par ai 'mutrib'
mohabbat ab nishāt-o-ġham kā sangam hotī jaatī hai
shanasa-e-rumuz-e-fitrat-e-gham hoti jati hai
nishat-o-kaif se bhi aankh pur-nam hoti jati hai
main jitna chheDta jata hun apne barbat-e-dil ko
meri aawaz ab utni hi maddham hoti jati hai
machalti hai nasim-e-subh se aaghosh mein paiham
gulon se kis qadar be-bak shabnam hoti jati hai
ye kaise jam hain saqi ki jitni pita jata hun
meri tishna-labi utni hi barham hoti jati hai
ilahi kaun aaya hai bahaaren le ke zindan mein
nazar meri sarapa KHair-maqdam hoti jati hai
sitam ke sath kuchh un ka karam hai mujh par ai 'mutrib'
mohabbat ab nishat-o-gham ka sangam hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.