shanasa-e-salib-e-gham badan hai
shanāsā-e-salīb-e-ġham badan hai
ye apnā aap hī goyā kafan hai
mujhe rusvā kyā kam-mā.egī ne
mirā hī zarf mujh par ta.ana-zan hai
patā detī hai lau ye thartharā kar
fasurda-dil charāġh-e-anjuman hai
lagāo tohmat-e-isyāñ na is par
nahīñ yūsuf kā merā pairahan hai
azīz-e-misr aur qurb-e-zuleḳhā
nigār-e-ḳhvāb kā ye husn-e-zan hai
fidā.ī zindagī paa.eñ ajal se
ishāroñ kī yahī rasm-e-kohan hai
hamīñ ne zindagī teshe ko baḳhshī
hamīñ se azmat dār-o-rasan hai
kiyā zanjīr-e-pā mahmil-nashīñ ko
jabīn-e-vaqt par kaisī shikan hai
usī jalve se 'baḳht' āñkheñ haiñ raushan
vahī jalva nigāhoñ kā kafan hai
shanasa-e-salib-e-gham badan hai
ye apna aap hi goya kafan hai
mujhe ruswa kya kam-maegi ne
mera hi zarf mujh par tana-zan hai
pata deti hai lau ye tharthara kar
fasurda-dil charagh-e-anjuman hai
lagao tohmat-e-isyan na is par
nahin yusuf ka mera pairahan hai
aziz-e-misr aur qurb-e-zuleKHa
nigar-e-KHwab ka ye husn-e-zan hai
fidai zindagi paen ajal se
ishaaron ki yahi rasm-e-kohan hai
hamin ne zindagi teshe ko baKHshi
hamin se azmat dar-o-rasan hai
kiya zanjir-e-pa mahmil-nashin ko
jabin-e-waqt par kaisi shikan hai
usi jalwe se 'baKHt' aankhen hain raushan
wahi jalwa nigahon ka kafan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.