shanasa yun to sab chehre bahut hain
shanāsā yuuñ to sab chehre bahut haiñ
magar milne meñ andeshe bahut haiñ
sazā lab kholne kī bhī milī hai
ḳhamoshī meñ bhī dukh jhele bahut haiñ
haiñ saare rāste masdūd lekin
har ik jānib ko darvāze bahut haiñ
maiñ ek ik lafz meñ letā huuñ sāñseñ
kitāboñ meñ mire qisse bahut haiñ
vahī ik baat jo sab se chhupā.ī
usī ik baat ke charche bahut haiñ
hameñ jaane se phir kyoñ rokte haiñ
agar is shahr meñ ham se bahut haiñ
agar qismat meñ 'shārib' ḳhvāb hī haiñ
to aise ḳhvāb to dekhe bahut haiñ
shanasa yun to sab chehre bahut hain
magar milne mein andeshe bahut hain
saza lab kholne ki bhi mili hai
KHamoshi mein bhi dukh jhele bahut hain
hain sare raste masdud lekin
har ek jaanib ko darwaze bahut hain
main ek ek lafz mein leta hun sansen
kitabon mein mere qisse bahut hain
wahi ek baat jo sab se chhupai
usi ek baat ke charche bahut hain
hamein jaane se phir kyon rokte hain
agar is shahr mein hum se bahut hain
agar qismat mein 'shaarib' KHwab hi hain
to aise KHwab to dekhe bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.