Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shar aaj zafar-yab hai malum nahin kyon

Shamshad shaad

shar aaj zafar-yab hai malum nahin kyon

Shamshad shaad

shar aaj zafar-yāb hai mālūm nahīñ kyoñ

achchhā.ī tah-e-āb hai mālūm nahīñ kyoñ

ik chiiz vafā jis ko kahā kartī thī duniyā

vo in dinoñ kamyāb hai mālūm nahīñ kyoñ

duniyā to mire saath nahīñ jā.egī phir bhī

duniyā mirā ḳhvāb hai mālūm nahīñ kyoñ

rahtā hai nikalne ke liye har ghaḌī betāb

āñkhoñ meñ jo sailāb hai mālūm nahīñ kyoñ

vaise to paḌhā likkhā hai is daur insāñ

nā-vāqif-e-ādāb hai mālūm nahīñ kyoñ

bechain mire zehn ko kartī hai yahī baat

qudrat pas-e-sailāb hai mālūm nahīñ kyoñ

mujh ko to sabab koī nazar nahīñ aatā

gum jalva-e-mahtāb hai mālūm nahīñ kyoñ

is dil har ik naaz uThātā huuñ maiñ lekin

har lamha ye betāb hai mālūm nahīñ kyoñ

har rang zamāne mayassar hai magar 'shād'

ye zindagī be-āb hai mālūm nahīñ kyoñ

shar aaj zafar-yab hai malum nahin kyon

achchhai tah-e-ab hai malum nahin kyon

ek chiz wafa jis ko kaha karti thi duniya

wo in dinon kamyab hai malum nahin kyon

duniya to mere sath nahin jaegi phir bhi

duniya hi mera KHwab hai malum nahin kyon

rahta hai nikalne ke liye har ghaDi betab

aankhon mein jo sailab hai malum nahin kyon

waise to paDha likkha hai is daur ka insan

na-waqif-e-adab hai malum nahin kyon

bechain mere zehn ko karti hai yahi baat

qudrat pas-e-sailab hai malum nahin kyon

mujh ko to sabab koi nazar hi nahin aata

gum jalwa-e-mahtab hai malum nahin kyon

is dil ka har ek naz uThata hun main lekin

har lamha ye betab hai malum nahin kyon

har rang zamane ka mayassar hai magar 'shad'

ye zindagi be-ab hai malum nahin kyon

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now