Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab-e-arghawani KHum mein rakkhi thi na mine mein

Badiuzzaman Sahar

sharab-e-arghawani KHum mein rakkhi thi na mine mein

Badiuzzaman Sahar

MORE BYBadiuzzaman Sahar

    sharāb-e-arġhavānī ḳhum meñ rakkhī thī na miine meñ

    ye kis ḳhuun hai saaqī batā is ābgīne meñ

    luñDhāte phirte ho tum roz paimāne pe paimāna

    hameñ shabnam baḌhā dete ho sāvan ke mahīne meñ

    hamārī bāda-ḳhvārī par ab un ko bhī shikāyat hai

    kaTī hai 'umr jin aadmī ḳhuun piine meñ

    udhar kuchh dūriyoñ silsila baḌhtā rahā ham se

    idhar kuchh fāsle kam ho ga.e haiñ marne jiine meñ

    dikhā.eñ kis ko ke ham shikasta tār-e-pairāhan

    lage haiñ sab yahāñ apnī qabā ke chaak siine meñ

    sabā ḳhushbū tālib hai to mil mushkīñ-kamandoñ se

    kahīñ ‘ambar hotī hai mardoñ pasīne meñ

    sukūñ ke din guzar jā.eñge ik din ahl-e-sāhil ke

    ham ahl-e-mauj vo tūfān lā.eñge safīne meñ

    'sahar' mansab hamārā bhī riyā-kārī agar hotā

    to ham bhī shaiḳh ke shāmil nazar aate madīne meñ

    sharab-e-arghawani KHum mein rakkhi thi na mine mein

    ye kis ka KHun hai saqi bata is aabgine mein

    lunDhate phirte ho tum roz paimane pe paimana

    hamein shabnam baDha dete ho sawan ke mahine mein

    hamari baada-KHwari par ab un ko bhi shikayat hai

    kaTi hai 'umr jin ki aadmi ka KHun pine mein

    udhar kuchh duriyon ka silsila baDhta raha hum se

    idhar kuchh fasle kam ho gae hain marne jine mein

    dikhaen kis ko ja ke hum shikasta tar-e-pairahan

    lage hain sab yahan apni qaba ke chaak sine mein

    saba KHushbu ki talib hai to mil mushkin-kamandon se

    kahin ‘ambar ki bu hoti hai mardon ki pasine mein

    sukun ke din guzar jaenge ek din ahl-e-sahil ke

    hum ahl-e-mauj wo tufan laenge safine mein

    'sahar' mansab hamara bhi riya-kari agar hota

    to hum bhi shaiKH ke shamil nazar aate madine mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now