sharāb-e-ishq se maḳhmūr sab ḳhurd-o-kalāñ hoñge
tuyūr-e-bāġh-e-ulfat mahv-e-dīdār-e-butāñ hoñge
dil-e-shabnam meñ ummīdoñ kī kaliyāñ muskurā.eñgī
urūs-e-hajla-e-gulshan ke bhī armāñ javāñ hoñge
gale mil kar kareñge barg-o-gul sargoshiyāñ paiham
mohabbat ke manāzir dekhne ko bāġhbāñ hoñge
nasīm-e-sub.h meñ jis dam anādil chahchahā.eñge
bahāreñ ham ko DhūñDheñgī na jaane ham kahāñ hoñge
hamārī zindagī ko bojh jo ḳhud par samajhte haiñ
pas-e-furqat ba-sad hasrat vahī mahv-e-fuġhāñ hoñge
paḌegā vaqt jab un par to DhūñDheñge hameñ har sū
magar us vaqt ham shahr-e-ḳhamoshāñ meñ nihāñ hoñge
hamārī sarhad-e-tanhā.ī pe ro.egī tanhā.ī
baġhair-e-qāfila bhī ham amīr-e-kārvāñ hoñge
zarā ik baar jī bhar kar dar-o-dīvār takne do
mire tārīk hujre meñ ye nazzāre kahāñ hoñge
tumhārī vasf sun sun kar yahī mahsūs hotā hai
tumhāre nāznīñ gesū misāl-e-kahkashāñ hoñge
usī kī god meñ sar rakh ke maiñ aañsū bahā.ūñgā
tire naqsh-e-qadam jis ḳhaak ke dil meñ nihāñ hoñge
umīdoñ kī chaTāneñ jab baheñgī sail-e-ġhurbat meñ
ye manzar dekh kar sātoñ tabaq girya-kunāñ hoñge
inhī lamhoñ kī chāhat ne mujhe dī hai hayāt-e-nau
zamīñ kī god meñ jalva-numā jab āsmāñ hoñge
hamārī aarzū hai ek pal bāhoñ meñ bhar liije
ki kuchh hī der meñ ham raunaq-e-nok-e-sināñ hoñge
'falak' kī qabr par bhī fātiha paḌhne vo ā.eñge
zahe-qismat fasīl-e-ishq se jis dam ayaañ hoñge
sharab-e-ishq se maKHmur sab KHurd-o-kalan honge
tuyur-e-bagh-e-ulfat mahw-e-didar-e-butan honge
dil-e-shabnam mein ummidon ki kaliyan muskuraengi
urus-e-hajla-e-gulshan ke bhi arman jawan honge
gale mil kar karenge barg-o-gul sargoshiyan paiham
mohabbat ke manazir dekhne ko baghban honge
nasim-e-subh mein jis dam anadil chahchahaenge
bahaaren hum ko DhunDhengi na jaane hum kahan honge
hamari zindagi ko bojh jo KHud par samajhte hain
pas-e-furqat ba-sad hasrat wahi mahw-e-fughan honge
paDega waqt jab un par to DhunDhenge hamein har su
magar us waqt hum shahr-e-KHamoshan mein nihan honge
hamari sarhad-e-tanhai pe roegi tanhai
baghair-e-qafila bhi hum amir-e-karwan honge
zara ek bar ji bhar kar dar-o-diwar takne do
mere tarik hujre mein ye nazzare kahan honge
tumhaari wasf sun sun kar yahi mahsus hota hai
tumhaare naznin gesu misal-e-kahkashan honge
usi ki god mein sar rakh ke main aansu bahaunga
tere naqsh-e-qadam jis KHak ke dil mein nihan honge
umidon ki chaTanen jab bahengi sail-e-ghurbat mein
ye manzar dekh kar saton tabaq girya-kunan honge
inhi lamhon ki chahat ne mujhe di hai hayat-e-nau
zamin ki god mein jalwa-numa jab aasman honge
hamari aarzu hai ek pal bahon mein bhar lije
ki kuchh hi der mein hum raunaq-e-nok-e-sinan honge
'falak' ki qabr par bhi fatiha paDhne wo aaenge
zahe-qismat fasil-e-ishq se jis dam ayan honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.