sharāb-e-nāb ko muñh se zarā lagā vaa.iz
mai-e-tuhūr kā maiñ vasf sun chukā vaa.iz
tirī tarah nahīñ toḌā kabhī kisī kā dil
jo ham ne toḌī bhī tauba to kyā huā vaa.iz
maiñ jāntā huuñ haqīqat bahisht-o-dozaḳh kī
ḳhudā ke vāste bāteñ na tū banā vaa.iz
gunāh-gār haiñ ham zaat hai ġhafūr us kī
ḳhudā ḳhudā kar are tū nahīñ ḳhudā vaa.iz
sharab-e-nab ko munh se zara laga waiz
mai-e-tuhur ka main wasf sun chuka waiz
teri tarah nahin toDa kabhi kisi ka dil
jo hum ne toDi bhi tauba to kya hua waiz
main jaanta hun haqiqat bahisht-o-dozaKH ki
KHuda ke waste baaten na tu bana waiz
gunah-gar hain hum zat hai ghafur us ki
KHuda KHuda kar are tu nahin KHuda waiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.