sharāb ḳhūn-e-jigar hai ham ko sharāb ham le ke kyā kareñge
gazak kī jā hai dil-e-birishta kabāb ham le ke kyā kareñge
hazār parde meñ tum chhupāo pa husn chhuptā nahīñ mirī jaañ
tumhāre aariz ye kah rahe haiñ naqāb ham le ke kyā kareñge
hamāre naqd-e-dil-o-jigar ko hisāb ke ba.ad pher deñge
hisāb lene kā un se hāsil hisāb ham le ke kyā kareñge
hameñ jo bhejā hai tum ne mus.haf to yaar harf-āshnā nahīñ ham
dikhāo apnā ruḳh-e-kitābī kitāb ham le ke kyā kareñge
butoñ kī ulfat se ba.az aa.eñ magar jo dil maan jaa.e vaa.iz
azaab meñ jaan paḌ ga.ī hai savāb ham le ke kyā kareñge
jo man.a kartā hai dil na deñge butoñ ko nāseh magar ḳhudārā
batā de tū hī ki is tarah kā azaab ham le ke kyā kareñge
ḳhudā kī baḳhshī huī hai vaq.at 'asar' nahīñ koī aisī ne.amat
milī hai jab izzat-e-siyādat ḳhitāb ham le ke kyā kareñge
sharab KHun-e-jigar hai hum ko sharab hum le ke kya karenge
gazak ki ja hai dil-e-birishta kabab hum le ke kya karenge
hazar parde mein tum chhupao pa husn chhupta nahin meri jaan
tumhaare aariz ye kah rahe hain naqab hum le ke kya karenge
hamare naqd-e-dil-o-jigar ko hisab ke baad pher denge
hisab lene ka un se hasil hisab hum le ke kya karenge
hamein jo bheja hai tum ne mushaf to yar harf-ashna nahin hum
dikhao apna ruKH-e-kitabi kitab hum le ke kya karenge
buton ki ulfat se baz aaen magar jo dil man jae waiz
azab mein jaan paD gai hai sawab hum le ke kya karenge
jo mana karta hai dil na denge buton ko naseh magar KHudara
bata de tu hi ki is tarah ka azab hum le ke kya karenge
KHuda ki baKHshi hui hai waqat 'asar' nahin koi aisi neamat
mili hai jab izzat-e-siyaadat KHitab hum le ke kya karenge
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 140)
- Author : فرحت احساس
-
Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
(2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.