Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab mein hai na rangini-e-bahaar mein hai

Sarosh Lucknowi

sharab mein hai na rangini-e-bahaar mein hai

Sarosh Lucknowi

MORE BYSarosh Lucknowi

    sharāb meñ hai na rangīnī-e-bahār meñ hai

    vo kaif-e-tauba-shikan jo shabāb-e-yār meñ hai

    nasīhateñ tirī nāseh bajā sahī lekin

    maiñ dil ke bas meñ huuñ dil un ke iḳhtiyār meñ hai

    adā batātī hai kaliyoñ ke muskurāne

    ki koī shoḳh-sarā parda-e-bahār meñ hai

    nazar bhī ishq ke bande uThā nahīñ sakte

    ki dil bhed nigāhoñ ke iḳhtiyār meñ hai

    shikast-e-rang manzar bhī aa ke dekh kabhī

    mirī ḳhizāñ meñ hai sab jo tirī bahār meñ hai

    sharab mein hai na rangini-e-bahaar mein hai

    wo kaif-e-tauba-shikan jo shabab-e-yar mein hai

    nasihaten teri naseh baja sahi lekin

    main dil ke bas mein hun dil un ke iKHtiyar mein hai

    ada batati hai kaliyon ke muskurane ki

    ki koi shoKH-sara parda-e-bahaar mein hai

    nazar bhi ishq ke bande uTha nahin sakte

    ki dil ka bhed nigahon ke iKHtiyar mein hai

    shikast-e-rang ka manzar bhi aa ke dekh kabhi

    meri KHizan mein hai sab jo teri bahaar mein hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now