Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab pi kar diya hai tumne jo hum ko jam-e-sharab aadha

Hayat Amrohvi

sharab pi kar diya hai tumne jo hum ko jam-e-sharab aadha

Hayat Amrohvi

MORE BYHayat Amrohvi

    sharāb kar diyā hai tum ne jo ham ko jām-e-sharāb aadhā

    azal se likkhā huā thā shāyad ki paa.eñ ham tum savāb aadhā

    gale lagā kar liyā thā bosa hue the raazī visāl par bhī

    taḌap ne dil ko jagā diyā kyoñ abhī to dekhā thā ḳhvāb aadhā

    falak se kah do sahar qarīñ hai ga.ī vo zulmat huī shab āḳhir

    shafaq hinā le ke aap aa.e ki uḌ gayā hai ḳhizāb aadhā

    yahāñ hai zoroñ pe nā-tavānī vahāñ nazākat se baat mushkil

    na kis tarah ho savāl aadhā na kis tarah ho javāb aadhā

    maiñ apnī ulfat haal likkhūñ bayān-e-husn-e-sanam ko paḌh kar

    ishāra ye hai jo saada rakkhā varaq miyān-e-kitāb aadhā

    chhupā liiñ hāthoñ se us ne āñkheñ ulaT jo hai naqāb ruḳh se

    ruke na dast-e-havas shoḳhī rahe ye jab tak hijāb aadhā

    tumhārī uThtī huī javānī jo dekh paa.ī shanāvarī meñ

    vafūr-e-hairat se rah gayā hai ubhar ke har ik habāb aadhā

    'hayāt' ġhaflat nahīñ munāsib butoñ taa.at ko chhoḌ do ab

    zarā to chauñko chalī javānī guzar gayā hai shabāb aadhā

    sharab pi kar diya hai tum ne jo hum ko jam-e-sharab aadha

    azal se likkha hua tha shayad ki paen hum tum sawab aadha

    gale laga kar liya tha bosa hue the raazi visal par bhi

    taDap ne dil ko jaga diya kyon abhi to dekha tha KHwab aadha

    falak se kah do sahar qarin hai gai wo zulmat hui shab aaKHir

    shafaq hina le ke aap aae ki uD gaya hai KHizab aadha

    yahan hai zoron pe na-tawani wahan nazakat se baat mushkil

    na kis tarah ho sawal aadha na kis tarah ho jawab aadha

    main apni ulfat ka haal likkhun bayan-e-husn-e-sanam ko paDh kar

    ishaara ye hai jo sada rakkha waraq miyan-e-kitab aadha

    chhupa lin hathon se us ne aankhen ulaT jo di hai naqab ruKH se

    ruke na dast-e-hawas ki shoKHi rahe ye jab tak hijab aadha

    tumhaari uThti hui jawani jo dekh pai shanawari mein

    wafur-e-hairat se rah gaya hai ubhar ke har ek habab aadha

    'hayat' ghaflat nahin munasib buton ki taat ko chhoD do ab

    zara to chaunko chali jawani guzar gaya hai shabab aadha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now