Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab pi ke bhi mast-e-sharab ho na saka

Afqar Mohani

sharab pi ke bhi mast-e-sharab ho na saka

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    sharāb ke bhī mast-e-sharāb ho na sakā

    tirā ḳharāb-e-mohabbat ḳharāb ho na sakā

    isī pe ḳhatm haiñ nākāmiyāñ zamāne

    tirī janāb meñ jo kāmyāb ho na sakā

    tirī atā ke tasadduq tire karam ke nisār

    gunāhgār thā lekin azaab ho na sakā

    vufūr-e-husn vo shoḳhiyāñ ma.āz-allāh

    shabāb tābe-e-ahd-e-shabāb ho na sakā

    ḳharāb-e-ishq tirā ho ke saarī duniyā meñ

    kisī bhī dil-e-ḳhāna-ḳharāb ho na sakā

    uThī na arz-e-tamannā pe ḳhashmagīñ ho kar

    tirī nigāh mujh par itaab ho na sakā

    hazār rañg the lekin thā ek jalva

    kamāl husn tere javāb ho na sakā

    dalīl-e-pastī auj-e-falak hai ye 'afqar'

    ki ḳhāk-bos-s-dar-e-bū-turāb ho na sakā

    sharab pi ke bhi mast-e-sharab ho na saka

    tera KHarab-e-mohabbat KHarab ho na saka

    isi pe KHatm hain nakaamiyan zamane ki

    teri janab mein jo kaamyab ho na saka

    teri ata ke tasadduq tere karam ke nisar

    gunahgar tha lekin azab ho na saka

    wufur-e-husn ki wo shoKHiyan maaz-allah

    shabab tabe-e-ahd-e-shabab ho na saka

    KHarab-e-ishq tera ho ke sari duniya mein

    kisi ka bhi dil-e-KHana-KHarab ho na saka

    uThi na arz-e-tamanna pe KHashmagin ho kar

    teri nigah ka mujh par itab ho na saka

    hazar rang the lekin tha ek hi jalwa

    kamal husn ka tere jawab ho na saka

    dalil-e-pasti auj-e-falak hai ye 'afqar'

    ki KHak-bos-s-dar-e-bu-turab ho na saka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now