sharārat hai manāne kī yā manvāne kā jhagḌā hai
haiñ donoñ sūrateñ qātil qayāmat jaisā jhagḌā hai
tasavvur meñ tirā chehra zehn meñ baat hai terī
ye duurī kaisī duurī hai ye jhagḌā kaisā jhagḌā hai
manānā bhī nahīñ āsāñ samajh jaanā bhī hai mushkil
zarā sā vaqt do mujh ko ye ḳhud se pahlā jhagḌā hai
kahīñ par phuul khilte haiñ kahīñ par sher hote haiñ
magar jo sab se a.alā hai vo terā merā jhagḌā hai
ahd kī baat mat chheḌo vafā kā zikr rahne do
usī se bad-gumānī hai usī kā saarā jhagḌā hai
vazīfa paḌh liyā maiñ ne ki vo ḳhāmoshiyāñ TūTeñ
ḳhudā to phir ḳhudā hai aur ḳhudā se kaisā jhagḌā hai
na thā ilzām us ke sar na thī merī ḳhatā koī
ye uktāhaT kī duurī hai ye be-vaj.h kā jhagḌā hai
shararat hai manane ki ya manwane ka jhagDa hai
hain donon suraten qatil qayamat jaisa jhagDa hai
tasawwur mein tera chehra zehn mein baat hai teri
ye duri kaisi duri hai ye jhagDa kaisa jhagDa hai
manana bhi nahin aasan samajh jaana bhi hai mushkil
zara sa waqt do mujh ko ye KHud se pahla jhagDa hai
kahin par phul khilte hain kahin par sher hote hain
magar jo sab se aala hai wo tera mera jhagDa hai
ahd ki baat mat chheDo wafa ka zikr rahne do
usi se bad-gumani hai usi ka sara jhagDa hai
wazifa paDh liya main ne ki wo KHamoshiyan TuTen
KHuda to phir KHuda hai aur KHuda se kaisa jhagDa hai
na tha ilzam us ke sar na thi meri KHata koi
ye uktahaT ki duri hai ye be-wajh ka jhagDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.