Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharar ko aab sahar ko sahab kah dete

Athar Aziz

sharar ko aab sahar ko sahab kah dete

Athar Aziz

MORE BYAthar Aziz

    sharar ko aab sahar ko sahāb kah dete

    vo chāhte to ġhazal ko gulāb kah dete

    sukūñ ke khet se larzāñ jo lauT aate vo

    to kyā ajab thā safar ko sarāb kah dete

    abhī to zahr ke aahan meñ zang baaqī hai

    abhī kahāñ se havas ko habāb kah dete

    jinhoñ ne rang bāhoñ meñ raat dekhī hai

    vo zindagī ko bhalā kaise ḳhvāb kah dete

    zarā jo shaam navāoñ ko nai pe le letī

    to saaz ḳhud shafaq ko sharāb kah dete

    sharar ko aab sahar ko sahab kah dete

    wo chahte to ghazal ko gulab kah dete

    sukun ke khet se larzan jo lauT aate wo

    to kya ajab tha safar ko sarab kah dete

    abhi to zahr ke aahan mein zang baqi hai

    abhi kahan se hawas ko habab kah dete

    jinhon ne rang ki bahon mein raat dekhi hai

    wo zindagi ko bhala kaise KHwab kah dete

    zara jo sham nawaon ko nai pe le leti

    to saz KHud hi shafaq ko sharab kah dete

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now