Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharbat-e-wasl pila ja lab-e-shirin ki qasam

Siraj Aurangabadi

sharbat-e-wasl pila ja lab-e-shirin ki qasam

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    sharbat-e-vasl pilā lab-e-shīrīñ qasam

    jaan jaatā hai mirā sūra-e-yāsīñ qasam

    dekh mujh haal kuuñ ai taaza bahār-e-ḳhūbī

    ashk-e-rañgīñ haiñ ravāñ dāman-e-gulchīñ qasam

    maktab-e-ishq meñ aa aql taḳhtī dhonāñ

    raast hai ye suḳhan ustād talqīñ qasam

    shīsha-e-ḳhātir-e-nāzuk kuuñ mire mat kar chuur

    ai sitamgar tujhe apne dil-e-sañgīñ qasam

    ashk hai tel shab-e-hijr meñ ai jān-e-'sirāj'

    har palak hasrat-e-zaitūn hai vattīñ qasam

    sharbat-e-wasl pila ja lab-e-shirin ki qasam

    jaan jata hai mera sura-e-yasin ki qasam

    dekh mujh haal kun ai taza bahaar-e-KHubi

    ashk-e-rangin hain rawan daman-e-gulchin ki qasam

    maktab-e-ishq mein aa aql ki taKHti dhonan

    rast hai ye suKHan ustad ki talqin ki qasam

    shisha-e-KHatir-e-nazuk kun mere mat kar chur

    ai sitamgar tujhe apne dil-e-sangin ki qasam

    ashk hai tel shab-e-hijr mein ai jaan-e-'siraj'

    har palak hasrat-e-zaitun hai wattin ki qasam

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 470)
    • Author : Siraj Aurangabadi
    • Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
    • Edition : 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now