sharbat meñ de sharāb bhī DaT kar gilās meñ
varna rahegī pyaas simaT kar gilās meñ
tanhā faqat nasha nahīñ ā.īne kī tarah
thoḌā bahut ho aks bhī kaT kar gilās meñ
har ghūñT le gayā mujhe maazī ke rū-ba-rū
kuchh aise zehn rah gayā baT kar gilās meñ
jis kī shuā.eñ shīshe se bāhar dikhā.ī deñ
kuchh aise rang aa.e palaT kar gilās meñ
piine se dil dimāġh pe chhāyā ḳhumār sā
varna kahāñ khulī thī ulaT kar gilās meñ
roke hue thā kaun na jaane mirā junūñ
kis ke na jaane lab the lipaT kar gilās meñ
utnī hī aur apnī talab ko baḌhā ga.ī
'parvez' jitnī rah ga.ī ghaT kar gilās meñ
sharbat mein de sharab bhi DaT kar gilas mein
warna rahegi pyas simaT kar gilas mein
tanha faqat nasha nahin aaine ki tarah
thoDa bahut ho aks bhi kaT kar gilas mein
har ghunT le gaya mujhe mazi ke ru-ba-ru
kuchh aise zehn rah gaya baT kar gilas mein
jis ki shuaen shishe se bahar dikhai den
kuchh aise rang aae palaT kar gilas mein
pine se dil dimagh pe chhaya KHumar sa
warna kahan khuli thi ulaT kar gilas mein
roke hue tha kaun na jaane mera junun
kis ke na jaane lab the lipaT kar gilas mein
utni hi aur apni talab ko baDha gai
'parwez' jitni rah gai ghaT kar gilas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.